Samina Raja


KO'EI NAMA BARR NAHIN HAI


Na hawa ka narm jhonka

Na jamal chandni ka

Na ko'ei haseen badal

Na kisi karam ki barish

Na ko'ei gudaz lehja

Na kisi nazar ki jumbish


Teray raastay pe mera

Ko'ei hammsafar nahin hai

Tujhay khatt likhoon agar to

Ko'ei nama barr nahin hai!



 

2


TERAY NAAM KAY SATH


Muskuranay lagi sehmi huwi raat

khill ga'ay charon taraf phool hi phool

ko'ei khushboo si mujhay choo kay chali

gungunanay lagi phir baad-e-saba


yoonhi baton mein nikal aa'ei thi baat

yoonhi ik shakhs nay anjanay mein

aur hi logon kay afsanay mein


lay liya naam mera

aaj teray naam kay sath!




3


NA RASA


Kabhi ik paer kay peechay

kabhi phoolon bhari 

uss shakh kay neechay


mujhay bass dooryon say

muskura karr takta rehta hai

kabhi baad-e-saba kay sath

ik halki sherarat say

meray malboos ko chhoo karr guzarta hai,


meray hathon ki uss takk kya rasa'ei ho

nazar ki dastaras mein jo nahin aata!





4


GHAZAL


Yarabb! labb-e-khamosh ko aisa kamal day

Jo guftgoo kay saray hi lehjay ujal day

Soaz-e-duroon-e-qalb ko itna jamal day

Jo mujh ko aik shamma kay qalib mein dhal day

Woh khwab marhamat ho ke aankhein chmak uthein

Woh sarr khushi ata ho ke dunya misal day

Woh harf likh sakoon ke banay harf-e-purr asar

Ik kaam karr sakoon too mujhay garr majal day

Main apni sha'eyri kay li'ay aa'eina banoon

Rahat nahin,too mujh ko baqa'ay malal day

Teray hi aastan pe jhuki ho jabeen-e-dill

Apnay hi darr kay wastay khoo'ay sawal day



5


AJNABI AA'O


Ajnabi aa'o!

dekho, umangon ki naokhez kalyan

jo murjha rahi hain,


tumharay liay waqt,chanchal parinda

meray saans pathar talay dabb rahay hain

meri umr kuchh katt chuki hai

jo baqi hai-ik karb mein katt rahi hai


agar ajnabi tumm na aa'o---

to peghaam bhejo

agar ko'ei chanchal parinda milay

waqt ka

uss ki gardan mein bandho

ko'ei sabz kaghaz

ko'ei sabz kaghaz ke jiss parr likho

apnay hathon

anokhi,purasrar,sabb ranng tehreer


phir woh parinda-meri samt bhejo

to phir ajnabi!  woh parida

agar ho sakay to

meray saans pathar talay say nikalay

mera karb chakhay


woh kaghaz, tumhari purasrar,sabb ranng

tehreer wala,

ko'ei sabz taweez karr kay

meri sooni gardan mein dalay!


 

6


MEHRBAN


Woh aik dinn tha 

jo saal bharr mein shareek thay

unn dinon kay jaisa, woh aik dinn tha

jo mautabar tha


woh aik lamha tha

jitnay lamhay,uss aik dinn mein 

shareek thay unn say milta julta

bass aik lamha,jo muhtarim tha


ke neem tareek rahdari mein

chaltay chaltay

jo uss nay nazrein uttha kay dekha

tthitthak kay, rukk karr

jo uss nay dekha

to main nay ghabra kay sarr jhukaya tha


uss ki aankhon mein kya tha?

pehay pehl to main yeh samajh na pa'ei

-----phir aik lamhay mein

uss ki nazron kay,meri aankhon talak

pohunchnay kay aik lamhay mein

kitni sadyan ttheher ga'ei thien


woh aik lamha jo muhtarim tha

ka'ei zamanon kay

saray aalam kay raaz

mujh na tawan pay kitnay rasan say

aashkar karr kay guzar gaya tha!



 

7


WIRD-E-JAAN


Tera naam honton pay latay hi

ilzaam kay sard patharr

nigahon kay sangeen neshtar

muqaddar banein gay

isi khaof say,in hawaon ko

phoolon ko,taron ko,mahtaab ko

razdan main banati nahin hoon


meray wird-e-jaan hay tera naam

lekin main hontoan pay

lati nahin hoon!



 

8


GULAAB KEHNA BHI


Gulaab ugana to aik fann hay

siyah matti ki koakh mein 

iss ki shaakh rakhna

nikaltay booton ko seenchna

aur khilay gulabon toarna bhi,


siyaah balon mein 

aik andaz-e-dilruba say

koei kali toar karr sajana bhi

aik fann hay


magar jabb uss nay

haseen aankhon mein shokhiyan bharr kay

mujh ko dheeray say ''Gull'' kaha tha

to main nay soacha

''kisi kay chehray ko muskura kay

gulaab kehna bhi aik fann hai

buhat bara fann''!



 



GHAZAL


Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi

Nigah-e-ahl-e-jahan mein haqeer hoon mein bhi

Agar too haqa-e-shaam-o-sahar mein qaid raha

To zindgi kay qafas mein aseer hoon mein bhi

Meray wujood mein jalti iss aag parr matt jaa

Agar too door rahay,zemhareer hoon mein bhi

Teray wujood say munkir jahan mein thi, main hi

Teri nigaah ki abb to aseer hoon main bhi

Meray li'ay bhi rahain abb faza'ein chashm baraah

Saba kay sath khizan ki safeer hoon main bhi

Wafa to sath nibhanay ka ik bahana hai

Riwaj ki teri soorat,aseer hoon main bhi

Main sirf jism nahin, aik zinda rooh bhi hoon

Khuda kay baad,samee-o-baseer hoon main bhi



 


SIDHARTH


Abb uss ka ghamm

dill mein meray bettha hai

yoon aalti paalti maray huway

jaisay gyan mein ho

kisi dhyan mein ho

labb bheenchay aur aankhein meechay

hai gumm summ


main hairan hairan

aankhein kholay,dekhti hoon 

aur soachti hoon


''pall bharr ko yeh

garr meri taraf

dekhay to main yeh arz karoon

keh tujh jaisay gyani kay liay

yeh jagha kuchh aisi ttheek nahin,


yahan sabza hai

yahan paani hai

yahan saya hai


parr yahin kahin

dunya ka loabh jo basta hai!''



 


KAISAY


Ghairon kay harr sitam kay muqabil thay

hamm chatan

phirr aap kay khuloos bharay 

aik lafz say

kaisay bikhar ga'ey?






LAMS ZINDA RAHAY


Jotshi nay kaha''

teray maqsoom mein ik muhabbat hay

aisi muhabbat

azal say abad takk ki,sabb 

chahton ka jo hasil hai,

ishq ki rooh bhi 

jiss mein jiss mein jari-o-sarihai

[ik wehshiyana tarap aur kasak]

aur ulfat ki dheemi,mehekti howi

aanch bhi jiss ka hissa hai


teri qismqt mein aisi muhabbat hai

jo lams say mawra

wasl ki khwahishon say juda hai

dahnay hath ki aik rekha batati hai,

tujh ko mehboob kay wasl say 

kuchh ta'aaluq nahin

uss ki chahat faqat uss ki chahat

tera muntaha-e-nazar ho 

to behtar rahay ga''


meray dill say ik aah nikli,

magar uss muhabbat say kya faeyda?

main bhi jalti rahoon

woh bhi jalta rahay,

abb to mehboob ko devta jaan karr

ya khuda maan karr

poojnay ki kahani-fasana huwi


abb haqeeqat jo hai woh faqat wasl hai

uss ki aur meri hasti ka shahid

faqat lams hai!


meray maqsoom mein peyar hai to

meray hath mein ay Khuda!

wasl qayam rahay!!

lams zinda rahay!!!






RAAT AUR INTAZAAR


Raat bharr girti rahi 

ashk ki soorat shabnam

raat bharr chalti rahi 

bheegi huei sard hawa

narm podoan mein guzarti huwi 

madham madham,


raat bharr chand sulagta raha 

holay holay

chandni roti rahi

meray dareechay say paray

raat bharr raqs mein masroof thay

khushboo kay qadam


raat bharr main,

meri maghmoom nigahein,

meri yaas,

teray aanay ki sarr-e-shaam lagi thi 

jo mujhay

wohi damm torti aas,


dill mein mehka huwa ghamm 

aur yeh palkein pur namm,

meri maghmoom nigahein bekhwab

raat bharr jaltay rahay

apnay hi shoalon mein gulab!! 



 



GUNAAH GAAR


Baat karnay ki kabb mili muhlat

haal ik doosray ka kabb poochha

chandni raat kay dareechay mein

uss nay yeh haath,haathmein na liya

barishon mein kabhi na bheegay saath

dhoop mein dhoond pa'ey kabb saya

uss nay bandha nahin ko'ei peman

main nay manga nahin ka'ei waada

kuchh ajab tarz ki muhabbat thi

kuchh ajab tarah ka yeh ishq huwa


yoonhi ik phool kay chataknay parr

taalib-e-mosemm-e-bahar hain hamm

zindgi kay taweel rastay parr

ik nazar kay gunaah gaar hain hamm!







AAKHIR-E-KAAR


Phir aakhir-e-kaar bannd kamray mein

himmatein sari jamma karr kay

yeh hoant,tasweer parr jhukay


hoant tashnagi say sulagtay,

wehshi wajood,andar ki kashmakash say

chatakh raha tha

to hoant tasweer parr jhukay


jabb chhoowa labon ko

ik aanch nikli---

to jall ga'ey hoant

aur sara wujood

shoalon mein ghirr gaya tha!






GHAZAL


Janay kya kya na tamasha ho ga

Dill bharay shehr mein tanha ho ga


Bewafa mujh ko samajhnay walay!

Tera mayar-e-wafa kya ho ga?


Kisi boaseeda dareechay say kabhi

Naya manzar nazar aata ho ga?


Meri qismat mein to weerani hai

Ha'ay,woh shakhs bhi tanha ho ga!


Yaas mein behtay huway ashkon say

Uss ka takya kabhi bheega ho ga


Chand raaton kay guzar janay parr

Janay kis haal mein darya ho ga!







HAREEM-E-JAAN MEIN VIOLIN


Bannd jharokay,bhari parday

jalti bujhti kuchh sham'ein

aur khamoshi ki sa'ein sa'ein


harr soo pheli

roshan roshan tareeki

aur chupp ki gehri chhap

phirr uss parr tanha'ei---


phirr chiknay farsh pe

saya larzay

khushboo bikhray,tara chamkay,

aik hayola paas aa'ey

phir sargoshi

ik madhamm pyari sargoshi,

kuchh bojhal sansein

aankhein bannd huwi ja'ein

aur sarshari


nazdeek kahin 

phir khali khali hall mein bajay

ik violin!






AAWAZ-E-DOAST


Ko'ei aawaz aati hai

buhat hi faslay say,ghaleban

barson ki doori say

mujhay aawaz aati hai

udasi hai ke charon samt meray

chha'ei jati hai


yehi aawaz,meray dill ki dharkan

jaan ki rahat thi

yehi aawaz, sacha'ei thi 

meri rooh ki


aawaz---iss ka zer-o-bamm

lehja---ke rass kanon mein tapka'ey

wohi ghambirta

woh jana pehchana raseela pann

wohi shafqat,


magar barson ki doori hai

meray kanon say 

iss aawaz takk ha'el


yeh kaisi be basi hai

mujh say yeh aawaz---

yeh jani huwi aawaz

pehchani nahin jati!







IK RAAT UJALO MERAY LI'AY


Ik raat ujalo meray li'ay

main sao jaoon, tumm jago

ik shabnam hath rakho seenay parr

lams jagay to labb mehka'o

saans mein phool khila'o

hawa chalay to

palkon parr taray barsa'o


neend kay parr phelay ja'ein

phir khwab samandar jhago

ik raat ujalo meray li'ay

main soa ja'on 

tumm jago!




 



PHIR PURANAY HIJR


Phir Sitambar ka maheena aa gaya hay

sath lay karr, beetay waqton ka fusoon 

aur guzray barson ka tilism,


phir gulabi subhein aa'iin

shabnam aalooda shabein

phir aankh parr utray sunehray khwab

bhooli chahton kay qafilay aanay lagay

aur dill kay andar ghantiyan bajnay lagiin


phir guzray waqton mein sunay

geeton ki tanon,saaz ki lai nay

sama'at ko chhowa,

aur raat dinn ik aalam-e-khwabeedgi 

mein gumm huway

aur dill mein meetha meetha 

dard sa honay laga


phir qurbaton kay

thehray paani jaisay mosam mein

ko'ei kankar gira

mujh ko, puranay hijr 

yaad aanay lagay! 







KHULI HUWI KHIRKIYON SAY IK SHAAM 


Khuli huwi khikiyon say ik shaam jhankti hai

ajeeb aalam hai

zindagi meri bheegti putliyon mein jesay 

dharak rahi hai,

tumhari yaadon kay sa'ay sa'ay

dhundalka paeron ki chotiyon parr 

utar raha hai

shafaq khamoshi say phail karr

door takk bikhartay haseen manzar kay 

canvas parr

hazar ranngon pay 

ik gulabi chirak rahi hai


main tumm say kitni hi door hoon

parr tumhari qurbat ki taez hiddat say

jall rahi hoon

main saray manzar say bhi alag hoon

magar shafaq say

wujood gulnaar ho raha hai

khuli huwi khirkiyon say 

ik shaam jhankti hai! 






MAAH GAZEEDA


Harr shab-e-firaq mein,yeh chand

badlon ki aoat say

ho mujh pay taana zann

main munh chupa'on

iss say munh chupa'on

taaray khilkhila kay hanns parein


yeh chand kay paroas mein hain

mera raaz jantay na hon

hawa chalay to muskuray

jaisay chand nay isay bhi meri sabb 

ketha suna'ei ho


kabhi khujoor kay buland paer ki

phunang say tiktiki laga'ay dekhta rahay

kabhi yeh baam say takay


main jheenp ja'on,

mann mein aag si lagay

main kya karoon shab-e-firaq!

mairay wastay,mujhay jalanay ko,buhat hai too

main teray zehr say bachoon ke chand kay?


shab-e-firaq! too bata

yeh chand meray tann ko ki'on dasay?

main kya ji'oon gi subh takk

mera badan to iss kay zehr say 

sunehra ho gaya!




 



TERA NAAM



Tera naam din kay zewal parr,meri roshni

Tera naam shaam-e-safar,sitara-e-rehbari

Tera naam shehr-e-malal mein,kaff-e-dosti

Tera naam,meri mataa-e-jan,meri sha'eyri

Mujhay harr para'o pe chahi'ay, 

teri hammdami








GHAZAL



Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi


Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai

Meri tarah  jo  teri muntazir, teray  rastay  mein  khari rahi


Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei

Main  faqeer-e-ishq  bani rahi, main aseer-e-yaad   huwi rahi


Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei

Woh   rida-e-abr-e-sfed   jo    sar-e-kohsar   tani  rahi


Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi

To   na janay  kon si   cheez ki   meri  zindgi  mein   kami rahi







TERAY DHYAN MEIN



Ga'ei raat bhi, roaz ki tarah

main bass teray dhyan mein 

so ga'ei thi

ajab khwab mein kho ga'ei thi


buhat door chalta huwa rasta

aik jangal mein ja karr

kahien rukk gaya tha,

sitaron bhara aasman

iss zamien ki taraf jhukk gaya tha!




 




PIYA BAAJ PYALA PIYA JA'AY NA



Mujhay aisi doori ki aadat nahin thi

ke jo zindgi ki ragon say

jawan khoon ki 

aakhri boond takk khainch lay,

jism ka khaet banjar karay,


iss li'ay jabb say too 

uss safar parr gaya

main nay aaiyna dekha nahin,

saari dunya say 

aur aasman takk say parda kiya,


main nay sardi mein dhoop

aur garmi mein sa'ay ki parwa na ki,

zindgi ko na samjha kabhi zindgi,

aad'tann saans li!


bhook to marr ga'ei thi 

juda'ei ki pehli hi sa'att mein 

lekin abhi pyaas baaqi hai

aur aisi zalim, ke meray badan parr

babool ugg rahay hain,

zuban parr bhi kantay paray hain,


mujhay aisi doori ki aadat nahin hai

ke jo mot aur zindgi mein

ko'ei farq rehnay na day

phirr bhi yeh jaan lay---

garr mujhay chashma e aab e hewan 

bhi mill ja'ay--- ikk boond

teray bina, mujh pe ja'yez nahin!









TERAY GHAMM KA JAMAL



Aik khushboo si ko'ei 

teray shabistan say chali aati hai,

roshni bann kay---

kabhi moj-e-hawa ki soorat,


yeh gumaan hota hai

phela hai meray jism pay

neendon ki tarah---tera khayal,

phool khiltay hain 

meray khwab say bahar bhi kahin


dill say aankhon talak aata hai

teray ghamm ka jamal








SAFAR



Main siyah raat kay safar parr hoon

aik qendeel yaad-e-janan ki

hath mein hai,magar hawa hai taez


main to ik baat kay safar parr hoon

jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi

aur meri tamam umr ko--- aik

dasht-e-pur khaar mein dhakael ga'ei


saari subhein,usi kay naam huein

saari fathein,usi kay naam huein

main,faqat maat kay safar parr hoon

main to ik baat kay safar parr hoon!







AASMAN! KABB AA'O GEY?



Aasman!

main tumharay ishq mein faqeer hoon

magar tumhari wus'aton kay samnay 

haqeer hoon,

tumm aa'o gay

ke main uraan karr kay aa'oon

badlon ko cheer karr?


main kaisay aa'oon 

kaisay toar doon tilism-e-khak ko

ke jiss ki main aseer hoon?


ke aik musht-e-khak ki

reha'ei---khakdan say

ik khayal hai,mahal hai,

magar yeh ishq bhi

jahan kay wastay misal hai

isi liay tumm aa'o gay!


main aab deeda,ghamm gazeeda,

muntazir hoon

Aasman! kabb utar kay

meray dill mein aa'o gay?







SAZA



Ja'o!

nafrat karnay walon kay chehron ko dekho,

unn ki aankhein,dozakh kay darwazay hain

aur teh khanon mein jalti aag say

unn kay dilon ki deewarein kaali hain,


unn chehron ko dekho

jin kay daant,dahan say bahar 

jhanktay rehtay hain

aur baat karein to munh say unn kay

kaff behta hai,


jin ka samna sacha'ei say 

namumkin hai,

jo phoolon ko rond karr aagay 

barhh jatay hain,

jin kay roshann daan pay kabhi parinday

baith kay geet nahin gaatay,


jin kay aangan mein ja karr 

dhoop aur barishein iffat kho deti hain,


jin ki zubanein,khush lafzon say 

nawaqif hain,

jin kay harf 

kisi achhay ki sama'at say takra karr

pathar bann jatay hain


woh,jo logon ki khushyon ki mot pay

khushi manatay hain,

sa'el parr kutay chhortay hain,


aur apnay darwazon parr

kalay peelay ranng say

khoapriyan banwatay hain,


ja'o! aur unn chehron ko dekho

aaj say tumm

unn mein shamil ho!







GHAZAL



Na shoq hai na tamanna na yaad hai dill mein

Ke mustaqil kisi ghamm ki nehad hai dill mein


Hai alif laila-o-laila si zindgi darpaesh

So jagti huei ik Shehrzad hai dill mein


Jo zabt-e-chashm kay baa'es na ashk bann paya

Uss aik qatra-e-khoon ka fasad hai dill mein


Phir aik sheh-e-Saba say bulawa aaya hai

Phir aik shoq-e-Suleman nazad hai dill mein


Hai aik sehr-e-dill aawez ka aseer badan

To jaal binti,ko'ei aur yaad hai dill mein


Tamam khwahishein aur hasratein,tamam huein

Magar jo sabb say ajab thi,murad hai dill mein








WOH SHAAM ZARA SI GEHRI THI



In hijr zada aur ranjeeda

aankhon say zara neechay jhukk karr

teri yaad mein bheegay rukhsaron kay

zard kinaron parr aa karr

ghabra'ei huei si utri thi

aur thori daer ko thehri thi


abb yaad nahin,teri aankhon mein

ko'ei khwab tha-koei sitara tha

teray honton ki unn qoson parr

ko'ei lafz tha -ko'ei ishara tha


kya shaam kay rastay parr rukk karr

teray dill nay mujhay pukara tha?


bass yaad hai itna,jabb dill nay

iss umr ki hadd say kuchh peechhay

ik baar palat karr dekha tha---


raston pay khilay sabb phoolon parr

ik abr ka saya jhukta tha

aur shaam zara si gehri thi!







KHWAB MUSAFIR



Khwab musafir!

kis manzil ki khwahish mein tumm

chupp nazron say, rasta rasta,

meray peechhay bhagtay ho

tumm soatay ho ya jaagtay ho?


kaisay haray haray lafzon ka

gehra jaal buna hai tumm nay,

jiss mein meri chahat ka

nao ranng parinda phansna hai

aur ummidon ki deewar say 

meray dill mein jhankna hai


apnay khwab ki manzil takk janay kay liay

tumm meri khwahish kay pull parr 

chalna chaho---yeh namumkin hai


main to khud, khwab aur khahish kay 

beechon beech---

atakti hoon aur roati hoon,

janay kitnay hi janamon say---

aadhi neendein soati hoon!







ABB MERA PYAAS PAYALA



Kaisa pyaas payala lay karr

amret kay ik ghoont ki khatir

ghoomtay phirtay---

meri raah mein aa jatay ho,

meray khali pann ko daekh kay 

hanns partay ho,


dhoop say thoara chandann lay karr

apnay hoton say chhoo karr

meri aankhon mein rakhkh detay ho


raat kay mann say kalak lay karr

tumm apni aankhon say laga karr

meray khwab mein dharr detay ho,


apnay dill ki betabi ko

kuchh lafzon say-kuchh baton say

meray dill mein bharr detay ho,


tumm barish ka meetha paani

khud chakhtay ho---

aur apna woh pyaas payala,baaqi umr ko

meray hath thuma jatay ho!







YEH HAIRAT GAAH-E-DUNYA HAI



Yeh hairat gaah-e-dunya hai

basar matt khwab mein karna

musalsal jagtay rehna,

agar iss jaa pay rehna hai


yeh mumkin hai ke bass ik aan mein

manzar badal ja'ay

nazar ka zikr kya,mehboob ka 

paikar badal ja'ay


yeh mumkin hai kisi kha'ei pay hi

yakk lakht rasta khatm ho ja'ay

kabhi darya pay puhncho 

aur kinara khatm ho ja'ay


yeh mumkin hai kabhi dekho

inhien qadmon main bethay kuchh

sarapa naaz logon ko 

kabhi dekho qaba-e-dosti mein 

sabb zamana saaz logon ko


thi jin say harf-e-khush ki aas

unn honton pay taana ho,

woh jin mein phool mumkin thay

unein hathon mein dashna ho,


buhat hushyar rehna hai

yeh hairat gahh-e-dunya hai!







GHAZAL



Ilhaam, wahhi k shairi hai

Iss dil pay jo aaj utar rahi hai


Yeh wasl hai ya main khwab mein hoon

Hai khwab k wasl ki ghari hai?


Soya hai wajood aur dil mein

Ik cheez ajeeb jaagti hai


Khushboo say mehek raha hai aangan

Aur tan pay bahaar aa gaei hai


Aaghosh mein khill uthha hai gulshan

Hontoan pay gulon si taazgi hai


Aankhon mein charagh jall rahay hain

Maathay pay anokhi roshni hai


Kuch door pay hai khizaan ka dera

Basti yeh bahar mein basi hai


Main raah pay teri chal rahi hoon

Duniya meri samt dekhti hai


Kam hon gay aseer-e-yad-e-janan

Yeh bhi to ataey zindagi hai







GHAZAL



Tanha, sar-e-anjuman khari thi

Main, apnay wisaal  say  bari  thi


Haan phool thi, aur hawa ki zad par

Phir  meri  har  aik  pankhari  thi 


Ik   umr   talak   safar   kya   tha

Manzil pay pohanch kay gir pari thi


Talib  koi  meri  naffi  ka  tha

Aur shart yeh mot say kari thi


Woh aik  hawa-e-taaza  mein  tha

Main, khwab-e-qadeem mein gari thi


Woh, khud ko Khuda samajh raha tha

Main,  apnay  huzoor mein  khari  thi








GHAZAL


Kuchh ranj na koei be qarari

Dil par hai ajab sakoot tari


Takseem to ho rahi hai rahat

Aati hi nahin hai meri baari


Ulfat mein tha sehl jaan dena

Ik cheez yehi thi ikhteyari 


Dil dard mein doobta tha lekin 

Aankhoin say huway na ashk jaari


Sab choom kay pichhay hat gaey thay

Pathar tha wafa ka sakht bhaari


Dushman ki sipaah bhi thi shashdar

Iss shaan say main nay jang haari


Afsos tha pichlay mosamon ka

Yeh rutt bhi mili to intazaari


Jab ban gaya aasman, samander

Saahil pay buss aik shab guzari


Iss baar na bach sakay gi shayad 

Chahat ko laga hai zakham kaari






GHAZAL



Honay pay main apnay roa rahi hoon 

Hasti ka yeh daagh dho rahi hoon


Shakhon pay meri khilaein gay sooraj

Mitti mein kiran jo bo rahi hoon


Uss shakhs ka dekhna qayamat

Khud apna suragh kho rahi hoon


Kis ranj say hath paaon shall hain

Aur zard tamam ho rahi hoon


Kis baat say dil dukha huwa hai

Aansoo kay bagher roa rahi hoon


Ab tark bhi kar chuka to kya gham

Main teri murad to rahi hoon


Banhon mein simat gaei hoon apni

Aaraam ki neend so rahi hoon 





ROMAN